mausam-e-gul kunj-e-gulshan nik.hat-e-gesu na ho
ab yahi ḳhvahish hai taskin ka koi pahlu na ho
main ki teri ruuh ka iz.har huun mumkin nahin
teri baton men mire afkar ki ḳhushbu na ho
ai sana-ḳhvan-e-tajalli ye bhi socha hai kabhi
ye sarasima tajalli raat ka jaadu na ho
imtihan-e-tishnagi ki manzil-e-aḳhir hai ye
ai dil-e-na-aqebat-andesh be-qabu na ho
main farogh-e-bazm-e-imkan main amir-e-karvan
main gharib-e-shahr-e-na-pursan jo mera tu na ho
ham ne dekhe zindagi men aise bhi lamhat jab
zabt ka yarana ho aur aankh men aansu na ho
‘rashk’-sahab main asir-e-jurm-e-na-ma.alum huun
kaise mumkin hai mujhe nakamiyon ki ḳhu na ho
Leave a Reply