masrur dil-e-zar kabhi ho nahin sakta
ya.ani tira didar kabhi ho nahin sakta
main ghair-e-vafadar kabhi ho nahin sakta
is se tumhen inkar kabhi ho nahin sakta
ab lutf-o-karam par bhi bharosa nahin us ko
achchha tira bimar kabhi ho nahin sakta
use shaiḳh agar ḳhuld ki tarif yahi hai
main is ka talabgar kabhi ho nahin sakta
a.amal ki pursish na kare davar-e-mahshar
majbur to muḳhtar kabhi ho nahin sakta
mumkin hai farishton se koi sahv hua ho
main itna gunahgar kabhi ho nahin sakta
azar-e-mohabbat hai aur azar hai ai ‘josh’
jo ba.is-e-azar kabhi ho nahin sakta
Leave a Reply