aadmi ki hayat muTThi bhar
ya.ani kul ka.enat muTThi bhar
haath bhar ka hai din bichhaḌne ka
aur milne ki raat muTThi bhar
kya karoge sameT kar duniya
hai jo duniya ka saath muTThi bhar
kar gaya kisht-e-arzu shadab
aap ka iltifat muTThi bhar
aur milna bhi kya sarabon se
ret aa.egi haath muTThi bhar
hausla yuun na harte ‘ejaz’
ho ga.i thi jo maat muTThi bhar
Leave a Reply