• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Masala Husn-E-Takhyyul Ka Hai Na Ilham Ka Hai

Masala Husn-E-Takhyyul Ka Hai Na Ilham Ka Hai

salma-shaheen-1

masala husn-e-takhyyul ka hai na ilham ka hai

ye fasana zara mushkil dil-e-nakam ka hai

rat-din pahron-pahar us ki ada ke charche

ye tamasha bhi mire vaste kis kaam ka hai

muskurane lage har samt mohabbat ke charagh

tere chehre ka tasavvur bhi bade kaam ka hai

suuni suuni thiin jo ankhen vo dobara hans den

nazar aaya hai jo manzar vo usi shaam ka hai

is taalluq ka koi rang na dhalne paaya

tazkira sheron men ab bhi usi gulfam ka hai

le udiin zard havaen mire ghar se khushbu

bam-o-dar kya hain daricha mire kis kaam ka hai

fasl ho jaae to badhti hai khushi se duuri

aap ka qurb ye sach hai bade aram ka hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nigah-E-Faqr Hi Shan-E-Sikandari Jaane

ahmad-rahi

Lab-e-Goya

shad-azimabadi

Na dil Apna Na Gham Apna Na Koi Gham-Gusar Apna

Tera Chehra Dekh Ke Har Shab Subh Dobara Likhti Hai

Sirf Ek Hadd-E-Nazar Ko Aasman Samjha Tha Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet