mansur piite hi mai-e-ulfat bahak gaya
jam-e-mai-e-alast bhara tha chhalak gaya
piiri hui shabab se utra jhatak gaya
shair huun mera misr-e-sani latak gaya
mujh rind-pak ka kabhi chullu na bhar diya
saaqi tire karam se har ik yaar chhak gaya
main lot ho gaya huun khat-e-sabz-rang par
khar-e-chaman se daman-e-dil pe atak gaya
piiri men dil diya but-e-be-raham yaar ko
manzil qarib thi ki musafir bahak gaya
bhadkaya dil ko tazkira-e-husn-e-yar ne
ek dher aag ka tha hava se dahak gaya
parda sharab-e-ishq ka mansur se khula
naddaf tha ki pamba-e-mina dhanak gaya
bulbul hai chup nasim-e-sahar bhi khamosh hai
shayad chaman men barg-e-kharabi khadak gaya
jam-e-bilur mai ka bhara yaar ne diya
shab ko hamara akhtar-e-talea chamak gaya
tu vo hasin hua ki hue tujh pe sab fida
aisa hi gul khila ki zamana mahak gaya
rutba tire karam se hua khaksar ka
khurshid ki tarah se ye zarra chamak gaya
saude se jo bhara vo hua sar vabal-e-dosh
bar-e-shajar hua vo samar jo ki pak gaya
lagta bahar-e-gul men gareban ka kya pata
daman ke phadne men kaho haath thak gaya
Leave a Reply