mango ho abhi dil mujhe nadan samajh kar
phir dunga javab is ka miri jaan samajh kar
bach jaiyon kambakht miri bakht-e-siyah se
yaan aaiyo to ai shab-e-hijran samajh kar
kya kaam mah-e-nau se mujhe main use har dam
dekhun huun tira aks-e-gareban samajh kar
rang apna hua sunte hi multani ki mitti
to kiijo safar janib-e-multan samajh kar
nau roz hai aur saqi-e-kausar ka hai ab daur
iiza de mujhe gardish-e-dauran samajh kar
kalkatta men ulfat ki governor hai sada ishq
amada ho tu rustam-e-dastan samajh kar
major ne junun ki hai ye tayyar ki paltan
haan dekh saf-e-khar-e-mughilan samajh kar
jarnail to sahra men hain aur koh men karnail
hai shahr men chhoda mujhe kaptan samajh kar
kya mohtasib-e-shahr kad-o-bair se lega
ham karte hain paimana se paiman samajh kar
yarab main kahan jaun ki har dam but-e-kafir
iiza mujhe deta hai musalman samajh kar
hub bakne laga shab ko jo vo ghusse se munim
ik rahm sa aaya mujhe hizyan samajh kar
arman se arman hai arman na tu ne
arman nikale mire arman samajh kar
dil sard hai tum se ki ba-in garm tapa ke
yak shab bhi na yaan soe zamistan samajh kar
myaan bos abhi lunga dhari rahvegi tarvar
gaali na suna sab ko tu yaksan samajh kar
Leave a Reply