malal chhoḌ duun zikr-e-malal bhi na karun
ye qaid achchhi hai main arz-e-hal bhi na karun
karam karo mira ehsas chhin lo mujh se
ki main tumhari jafa ka ḳhayal bhi na karun
jo iltija ko samajhte ho ehtijaj mira
to kya ye chahte ho main saval bhi na karun
Leave a Reply