majnun bana diya to mukammal bana diya
mujh ko to mere ishq ne pagal bana diya
dil ne kisi ki yaad ko chhoḌa nahin kabhi
dil ne kisi ki yaad ko anchal bana diya
itna main teri yaad men barsi huun TuuT kar
ankhon ko jaise main ne to badal bana diya
logon ka ik hujum tha jaane kidhar gaya
basti ko kis ne raat men jangal bana diya
koi to is jahan men hai na-puḳhta aur ḳhaam
ya rab kisi ko tu ne mukammal bana diya
koi to ilm-o-fikr men hai bahr-e-be-karan
insan koi tu ne to aj.hal bana diya
‘zebi’ main ḳhud ko sona samajhti thi aur bas
mujh ko kisi ne dekh lo pital bana diya
Leave a Reply