main ne hi na kuchh khoya jo paaya na kisi ko
us ne bhi to puura na kiya meri kami ko
hai maujzan ik qulzum-e-ḳhun siine men ab tak
darkar nahin aur miri tishna-labi ko
hanste unhen dekha to bahut phuuT ke ro.e
jo log taraste rahe ik umr hansi ko
kuchh aisi tabi.at mili ham ahl-e-chaman ko
bardasht kiya hai kabhi shabnam na kali ko
har ashk ajab gauhar-e-yak-dana hai ‘shohrat’
girya baḌi daulat hai jo milti hai kisi ko
Leave a Reply