main yahan shor kis liye karta
dhar liya ja.unga ye imkan tha
dekhiye ruḳh hava ka kab Thahre
aa gaya le ke vo diya jalta
peḌ paude to ḳhauf khate hain
ghaas par us ka bas nahin chalta
uḌ gaya aḳhirash main kamre se
kab tilak jite-ji yahan marta
mere andar jo DhunDhta tha mujhe
us se kaT kar main mil chuka kab ka
ḳhvab de kar ye phuul laaya huun
kahiye mahnga mila hai ya sasta
iid ka din to hai magar ‘ja.afar’
main akele to hans nahin sakta
Leave a Reply