main teri aankh men ye kya talash karta huun
bhanvar ke biich kinara talash karta huun
main ik sukun ka lamha talash karta huun
udasiyon men bhi rasta talash karta huun
jo meri aankh se ojhal kabhi nahin hota
use main sab se ziyada talash karta huun
isi liye to kabhi DhunD hi nahin paaya
har ek shaḳhs men ḳhud sa talash karta huun
jo mere haath se bachpan men kho gaya tha miyan
main aaj bhi vahi basta talash karta huun
bichhaḌne lagta hai koi zara zara kar ke
phir us ko saare ka saara talash karta huun
talash karte hue bhuul jaata huun ḳhud ko
kabhi kabhi tujhe itna talash karta huun
yahin kahin kabhi baiTha hua tha main ‘tabish’
so tai kiya ki dobara talash karta huun
Leave a Reply