main laakh kah duun ki akash huun zamin huun main
magar use to khabar hai ki kuchh nahin huun main
ajiib log hain meri talash men mujh ko
vahan pe dhund rahe hain jahan nahin huun main
main ainon se to mayus laut aaya tha
magar kisi ne bataya bahut hasin huun main
vo zarre zarre men maujud hai magar main bhi
kahin kahin huun kahan huun kahin nahin huun main
vo ik kitab jo mansub tere naam se hai
usi kitab ke andar kahin kahin huun main
sitaro aao miri raah men bikhar jaao
ye mera hukm hai halanki kuchh nahin huun main
yahin husain bhi guzre yahin yazid bhi tha
hazar rang men duubi hui zamin huun main
ye budhi qabren tumhen kuchh nahin bataengi
mujhe talash karo dosto yahin huun main
Leave a Reply