main kya bata.un ki tu kya hai aur kya huun main
hujum-e-lafz-o-ma.ani men kho gaya huun main
pinha de koi mohabbat ki ek kaḌi zanjir
ki qaid-e-farz se bahar nikal gaya huun main
savab ko na.i shaklen jo de raha hai tu
gunah ke na.e sanche bana raha huun main
junun mira ḳhirad-asuda-e-nata.ej hai
ḳhud apne paanv ki zanjir Dhalta huun main
miri nazar men tajalli ki kya haqiqat hai
tajalliyon ki haqiqat ko dekhta huun main
gira chuka tha jise kal nazar se apni ‘jamil’
ghurur ab usi pasti pe kar raha huun main
Leave a Reply