main kai barson se teri justuju karti rahi
is safar men arzuon ka lahu karti rahi
kya khabar tujh ko guzari kaise main ne sham-e-gham
ansuon ka paani le kar main vuzu karti rahi
jab tiri yadon ne mujh ko niim pagal kar diya
main tiri tasvir se hi guftugu karti rahi
kis tarah apni tamannaon ka main karti shumar
bas tujhe paane ki har-dam aarzu karti rahi
dil ke darvaze pe jab bhi yaad ki dastak hui
main tasavvur men jigar apna rafu karti rahi
dil ki dhadkan kah rahi hai tu achanak aaega
khud ko din-bhar aine ke ru-ba-ru karti rahi
sochna bhi mat kabhi tujh ko bhula degi ‘iram’
vasl ki khvahish har ik lamha numu karti rahi
Leave a Reply