main kab se apni talash men huun mila nahin huun
saval ye hai ki main kahin huun bhi ya nahin huun
ye mere hone se aur na hone se munkashif hai
ki razm-e-hasti men kya huun main aur kya nahin huun
main shab nizhadon men subh-e-farda ki aarzu huun
main apne imkan men raushni huun saba nahin huun
gulab ki tarah ishq mera mahak raha hai
magar abhi us ki kisht-e-dil men khila nahin huun
na jaane kitne khudaon ke darmiyan huun lekin
abhi main apne hi haal men huun khuda nahin huun
kabhi to iqbal-mand hogi miri mohabbat
nahin hai imkan koi magar manta nahin huun
havaon ki dastaras men kab huun jo bujh rahunga
main istiara huun raushni ka diya nahin huun
main apni hi aarzu ki chashm-e-malal men huun
khula hai dar khvab ka magar dekhta nahin huun
udhar tasalsul se shab ki yalghar hai idhar main
bujha nahin huun bujha nahin huun bujha nahin huun
bahut zaruri hai ahd-e-nau ko javab dena
so tikhe lahje men bolta huun khafa nahin huun
Leave a Reply