main jite-ji talak rahun marhun aap ka
gar aaj qasd kijiye mujh se milap ka
main ye samajh ke dauḌun huun aaya vo shahsavar
khaTka sunun huun jab kisi ghoḌe ki Top ka
tum gaao apne raag ko us paas va.izo
mushtaq jo gadha ho tumhare alaap ka
go duḳht-e-raz se milne men bad Thahre mohtasib
dena nahin dharane men ham us ke baap ka
dukh men nahin hai koi kisu ka sharik-e-hal
yaan khel mach raha hai ajab ap-dhap ka
thapva.in un ki maaTi ki inTen falak ne haif
tha shor jin ke mahlon men table ki thaap ka
auraq-e-ganjifa kaho asnaf-e-ḳhalq ko
hai shauq un ke dil men sada Tip-Tap ka
kis tarah ham se bose ka va.ada kare vo shoḳh
najri raqib se hai Dara munh ki bhaap ka
kiijo ‘muhib’ nigah ye chhapa hai aur hi
ganda kare hai dil ko nagin us ki chhap ka
Leave a Reply