main hava ke dosh pe rakkha hua
patta huun par shaḳh se TuuTa hua
raat ki gullak men karta jam.a huun
puure din ka jo bhi hai joḌa hua
titliyan akasr hain mujh se puchhti
paas mere phuul tha jo kya hua
vo koi saaya nahin tha main hi tha
dhuup tera ḳhvah-maḳhvah harja hua
pyaas apni jaḌ se main ne ḳhatm ki
dariya honTon pe rakha jalta hua
zehn to mahfuz hota par ye kya
ye nagar bhi hai tira luuTa hua
Leave a Reply