main faqat is jurm men duniya men rusva ho gaya
main ne jis chehre ko dekha tere jaisa ho gaya
chand men kaise nazar aae tiri surat mujhe
andhiyon se asman ka rang maila ho gaya
ek main hi raushni ke khvab ko tarsa nahin
aaj to suraj bhi jab nikla to andha ho gaya
ye bhi shayad zindagi ki ik ada hai dosto
jis ko sathi mil gaya vo aur tanha ho gaya
ek patthar zindagi ne taak kar maara mujhe
chot vo khaai ki saara jism dohra ho gaya
mil gaya mitti men jab ‘afzal’ to ye aai sada
gir gai divar aur saaya akela ho gaya
Leave a Reply