maiñ chup huuñ aur duniyā sun rahī hai
ḳhamoshī dāstāneñ bun rahī hai
ta.ajjub hai ki ik sone kī chiḌiyā
bayābānoñ meñ tinke chun rahī hai
kahāñ nekī gunāhoñ se hī bach leñ
hameñ to bas yahī ik dhun rahī hai
tujhe mahsūs karte bhī to kaise
chhaTī his bhī hamārī sun rahī hai
maiñ us bastī kā bāshinda thā yārab
jahāñ sachchā.ī bhī avgun rahī hai
yahāñ gardish meñ haiñ din raat ‘anjum’
vahāñ bas ik sadā-e-kun rahī hai