mahrumiyon ka ik sabab josh-e-talab ḳhud bhi to hai
sho.ale pe lapka is tarah jaise koi gul hi to hai
kis vahm kis chakkar men ho ḳhud-bin bagulon dam to lo
siine men dil ho bhi kahin maana ki betabi to hai
sujhe magar kya sham.a ko apne ujale ke siva
har chand zauq-e-did ka maidan tariki to hai
jhanka hai main ne saaz men parda haTa kar saaz ka
naghma nazar aa ja.ega ye aas beja bhi to hai
har baagh men uḌta phirun har shaḳh par girta rahun
har gul se ḳhushbu chuus luun ab ye meri zid hi to hai
hai hai vo shirin jhalkiyan kab tak magar sar phoḌiye
divar phir divar hai halanki shishe ki to hai
phir bhi ye dhun hai mauj se dariya ko apne naap luun
paimana mera hai ghalat mujh ko ḳhabar itni to hai
piita raha kya umr bhar pi kar tamanna ka lahu
kuchh din se meri astin kuchh zer-e-lab kahti to hai
hoti kahan tak mustarad be-baki-e-dast-e-saba
khulne laga band-e-haya aḳhir shagufa hi to hai
ta.amir aḳhir kar liya hasrat ne ḳhvabon ka haram
shaghl-e-gunah ke vaste ye aaḌ bhi kaafi to hai
mashq-e-ḳhud-ashami karun sairab hona siikh luun
labrez ḳhud hai tishnagi saghar mira ḳhali to hai
ab sulh kar bhi len ‘muhib’ tanha.iyon se vahshaten
vo mera saaya hi sahi ik shai nazar aa.i to hai
Leave a Reply