mahke hue guloñ kā chaman bolne lagā
vo chup huā to us kā badan bolne lagā
āñchal hai kahkashāñ to vo ḳhud bhī hai chāñd sā
bāhoñ meñ merī aa ke gagan bolne lagā
tābāniyoñ meñ us kī hai mauj-e-vafā kī guuñj
din chup huā to dil kā ratan bolne lagā
bolī ga.ī thī dard ke mausam meñ jo kabhī
phir vo zabān apnā vatan bolne lagā
ḳhāmosh rah ke us ne guzārī thī zindagī
vo shaḳhs jab marā to kafan bolne lagā
dil kī haveliyoñ ke hue aa.ine ḳhamosh
shahr-e-anā meñ sañg-e-kuhan bolne lagā
aahan ke shor-o-shar meñ hai ‘asrār’ vo asar
lahje meñ dhun ke aaj kā fan bolne lagā