
Poet
mahka hai gul-e-ḳhun-e-vafa janiye kya ho
jalti hai koi sham-e-hina janiye kya ho
bandish hai nigahon pe dil-o-jan pe hain pahre
ta.abir tiri ḳhvab-e-vafa janiye kya ho
muddat se kisi zulf ki ḳhushbu nahin aati
masrufiyat-e-dast-e-saba janiye kya ho
sho.ala sa lapakta hai koi rauzan-e-dar se
ḳhandan hai phir ik bint-e-haya janiye kya ho
Thahri hai saba gardish-e-aflak ruki hai
kasta hai koi band-e-qaba janiye kya ho
baaqi hai abhi talḳhi-e-zahrab labon par
hai phir lab-e-saqi pe sala janiye kya ho

Leave a Reply