ai anfus o afaq men paida tiri ayat
haq ye hai ki hai zinda o painda tiri zaat
main kaise samajhta ki tu hai ya ki nahin hai
har dam mutaghayyar the khirad ke nazriyat
mahram nahin fitrat ke surud-e-azli se
bina-e-kavakib ho ki dana-e-nabatat
aaj aankh ne dekha to vo aalam hua sabit
main jis ko samajhta tha kalisa ke khurafat
ham band-e-shab-o-roz men jakde hue bande
tu khaliq-e-asar-o-nigaranda-e-anat
ik baat agar mujh ko ijazat ho to puchhun
hal kar na sake jis ko hakimon ke maqalat
jab tak main jiya khema-e-aflak ke niche
kante ki tarah dil men khatakti rahi ye baat
guftar ke uslub pe qaabu nahin rahta
jab ruuh ke andar mutalatum hon khayalat
vo kaun sa aadam hai ki tu jis ka hai mabud
vo adam-e-khaki ki jo hai zer-e-samavat
mashriq ke khudavand safedan-e-firangi
maghrib ke khudavand darakhshinda filizzat
europe men bahut raushni-e-ilm-o-hunar hai
haq ye hai ki be-chashma-e-haivan hai ye zulmat
ranai-e-tamir men raunaq men safa men
girjon se kahin badh ke hain bankon ki imarat
zahir men tijarat hai haqiqat men jua hai
suud ek ka lakhon ke liye marg-e-mufajat
ye ilm ye hikmat ye tadabbur ye hukumat
piite hain lahu dete hain talim-e-musavat
bekari o uryani o mai-khvari o aflas
kya kam hain farangi madniyat ki futuhat
vo qaum ki faizan-e-samavi se ho mahrum
had us ke kamalat ki hai barq o bukharat
hai dil ke liye maut mashinon ki hukumat
ehsas-e-muravvat ko kuchal dete hain alat
asar to kuchh kuchh nazar aate hain ki akhir
tadbir ko taqdir ke shatir ne kiya maat
mai-khana ne ki buniyad men aaya hai tazalzul
baithe hain isi fikr men piran-e-kharabat
chehron pe jo surkhi nazar aati hai sar-e-sham
ya ghaza hai ya saghar o miina ki karamat
tu qadir o aadil hai magar tere jahan men
hain talkh bahut banda-e-mazdur ke auqat
kab dubega sarmaya-parasti ka safina
duniya hai tiri muntazir-e-roz-e-mukafat
Leave a Reply