lazzat-e-lams ka inkar nahin kar sakta
duur baiThe tujhe sarshar nahin kar sakta
jaise main doston se hans ke gale milta huun
koi ma.amuli adakar nahin kar sakta
ek do baar to rokunga muravvat men tujhe
sainkaḌon baar to israr nahin kar sakta
baagh men ek bhi phuul ek bhi phal ke hote
tu mujhe ziist se bezar nahin kar sakta
aisa kirdar kahani men ada karna paḌa
jo koi sahab-e-kirdar nahin kar sakta
Leave a Reply