lamha-dar-lamha tiri raah taka karti hai
ek khidki tiri aamad ki dua karti hai
silvaten chikhti rahti hain mire bistar ki
karvaton men hi miri raat kata karti hai
vaqt tham jaata hai ab raat guzarti hi nahin
jaane divar-ghadi raat men kya karti hai
chand khidki men jo aata tha nahin aata ab
tirgi charon taraf raqs kiya karti hai
mere kamre men udasi hai qayamat ki magar
ek tasvir purani si hansa karti hai
Leave a Reply