lagega ajnabi ab kyon na shahr bhar mujh ko
bacha gaya hai nazar tu bhi dekh kar mujh ko
main ghuum phir ke usi samt aa nikalta huun
jakaḌ rahi hai tire ghar ki rahguzar mujh ko
jhulas raha hai badan zer-e-saya-e-divar
bula raha hai koi dasht-e-be-shajar mujh ko
main sang-dil huun tujhe bhulta hi jaata huun
main hans raha huun to mil ke udaas kar mujh ko
main dekhta hi rahunga tujhe kinare se
tu DhunDhta hi rahega bhanvar bhanvar mujh ko
bani hain tund havaon ki zard divaren
uḌa raha hai magar sho.ala-e-safar mujh ko
bana diya hai niDar ziddi ḳhvahishon ne ‘nasim’
ḳhud e’timad na tha apne aap par mujh ko
Leave a Reply