laga jab aks-e-abru dekhne dildar paani men
baham har mauj se chalne lagi talvar paani men
nahana mat tu ai rashk-e-pari zinhar paani men
habab aisa na ho shisha bane ik baar paani men
suna ai bahr-e-khubi teri athkheli se chalne ki
udaai rafta rafta mauj ne raftar paani men
jhalak is tere kafash-e-pusht-e-mahi ki agar dekhe
kare qalib tahi maahi bhi phir lachar paani men
nahin lakht-e-jigar ye chashm men phirte ki mardum ne
charagh ab kar ke raushan chhode hain do-char paani men
lab-e-dariya pe dekh aa kar tamasha aaj holi ka
bhanvar kaale ke daf baaje hai mauj ai yaar paani men
kahun kya saath ghairon ke to us be-did ne hamdam
nahane ke liye hargiz na ki takrar paani men
kaha main ne jo itna rakh qadam is dida-e-tar par
laga kahne ki aati hai miri paizar paani men
‘nasir’ asan nahin ye baat paani sakht mushkil hai
uthai rekhte ki tu ne kya divar paani men
Leave a Reply