lafz ko ilham ma.ani ko sharar samjha tha main
dar-haqiqat aib tha jis ko hunar samjha tha main
raushni thi aankh thi manzar tha phir kuchh bhi na tha
haa.e kis ashob ko apni nazar samjha tha main
asmanon ko lapakte hain zamin-zade sabhi
murgh-e-adam-zad ko be-bal-o-par samjha tha main
”kun” ka afsun-e-azal phunka gaya tha jis ghaḌi
mujh ko ab bhi yaad hai bar-e-digar samjha tha main
hai koii? jo mere is lamhe pe girya kar sake
jab mujhe bilkul samajh na thi magar samjha tha main
apne bachchon ki tarah us ne uḌaya mujh ko saath
jis hava-e-tund-ḳhu ko dar-ba-dar samjha tha main
mujh pe farsuda aqa.ed ki ajab yalghar thi
chhoTe chhoTe vasvason ko ḳhair-o-shar samjha tha main
regzar-e-shab-gazida tujh men ta-hadd-e-nazar
dhuup ka aaseb tha jis ko shajar samjha tha main
be-sar-o-samaniyon ki intiha thi ‘ja.afari’
jab dar-o-divar ko divar-o-dar samjha tha main
bab-e-hairat jab talak khulta liyaqat-‘ja.afari’
qais ko farhad ko ashufta-sar samjha tha main
Leave a Reply