• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kyunkar Na Khaksar Rahen Ahl-E-Kin Se dur

Kyunkar Na Khaksar Rahen Ahl-E-Kin Se dur

bahadur-shah-zafar

kyunkar na khaksar rahen ahl-e-kin se duur

dekho zamin falak se falak hai zamin se duur

parvana vasl-e-shama pe deta hai apni jaan

kyunkar rahe dil us ke rukh-e-atishin se duur

mazmun-e-vasl-o-hijr jo naame men hai raqam

hai harf bhi kahin se mile aur kahin se duur

go tir-e-be-guman hai mire paas par abhi

jaae nikal ke sina-e-charkh-e-barin se duur

vo kaun hai ki jaate nahin aap jis ke paas

lekin hamesha bhagte ho tum hamin se duur

hairan huun ki us ke muqabil ho aina

jo pur-ghurur khinchta hai mah-e-mubin se duur

yaan tak adu ka paas hai un ko ki bazm men

vo baithte bhi hain to mire ham-nashin se duur

manzur ho jo diid tujhe dil ki aankh se

pahunche tiri nazar nigah-e-dur-bin se duur

duniya-e-dun ki de na mohabbat khuda ‘zafar’

insan ko phenk de hai ye iman o diin se duur

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hum Tere Gham Ko Jo Purkar Bana Kar uTThe

Ghani Aabaadiyon Ki Be-Amani Ka Tamasha Kar

Aankh Se Gham Nihan Nahin Hote

poet

Na Kabhi Koi KHat Aaya Na Payam-E-Yar Aaya

poet

Hai aaTh Pahar Tu Jalwa-Numa Timsal-E-Nazar Hai Partaw-E-ruKH

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet