kyuun tire saath rahin umr basar hone tak
ham na dekhenge imarat ko khanDar hone tak
tum to darvaza khula dekh ke dar aa.e ho
tum ne dekha nahin divar ko dar hone tak
chup rahin aah bharen chiḳh uThen ya mar jaa.en
kya karen be-ḳhabaro tum ko ḳhabar hone tak
ham pe kar dhyan are chand ko takne vaale
chand ke paas to mohlat hai sahar hone tak
haal mat pochhiye kuchh baten batane ki nahin
bas dua kiije duaon men asar hone tak
sag-e-avara ke manind mohabbat ke faqir
dar-ba-dar hote rahe shahr-badar hone tak
aap maali hain na suraj hain na mausam phir bhi
biij ko dekhte rahiyega samar hone tak
dasht-e-ḳhamosh men dam sadhe paḌa rahta hai
paanv ka pahla nishan rah-guzar hone tak
faani hone se na ghabra.iye ‘faris’ ki hamen
an-ginat martaba marna hai amar hone tak
Leave a Reply