kyon musibat men huun masrur tujhe kya malum
kya mohabbat ke hain dastur tujhe kya malum
fitrat-e-husn hai ye ye hai taqaza-e-shabab
tu hai kis vaste maghrur tujhe kya malum
baghban kab ki bahar aa.i bhi ruḳhsat bhi hui
main qafas men huun ba-dastur tujhe kya malum
gardish-e-chashm ki lazzat koi mujh se puchhe
vaar ochha hai ki bharpur tujhe kya malum
na bura maan nasheman ke banane vaale
barq aadat se hai majbur tujhe kya malum
saath dega tu kahan tak miri barbadi ka
meri manzil hai bahut duur tujhe kya malum
kyon nigahon se hai is darja pareshan ‘sa.id’
yahi rahmat ko hai manzur tujhe kya ma.alum
Leave a Reply