• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kyon Kahun Main Ki Sitam Ka Main Saza-War Na Tha

Kyon Kahun Main Ki Sitam Ka Main Saza-War Na Tha

poet

kyon kahun main ki sitam ka main saza-var na tha

dil diya tha tujhe kis tarah gunahgar na tha

umr bhar mujh se thi har ek ko be-vaj.h ḳhalish

kyunki main gulshan-e-alam men koi ḳhaar na tha

kya na kuchh ho gaya ik ghairat-e-yusuf ke liye

kab mohabbat men main rusva sar-e-bazar na tha

kya ye karta mire zaḳhm-e-jigar-o-dil ka ilaaj

charḳh-e-be-rahm koi marham-e-zangar na tha

fard nikla fan-e-duzdi men ḳhayal-e-dilbar

us ka aana tha ki pahlu men dil-e-zar na tha

kya bahalta gul-o-sumbul se chaman men mira dil

vo tiri zulf na tha ye tira ruḳhsar na tha

apni qismat hi ka shaki main mohabbat men raha

shikva-e-charḳh na tha kuchh gila-e-yar na tha

hashr ke roz mire husn-e-gunah ka yarab

teri rahmat ke siva koi ḳharidar na tha

teri ankhon ki mohabbat ka faqat tha use rog

varna kuchh nargis-e-bimar ko azar na tha

tum ne mahfil men jagah di use hasrat hai mujhe

ghair is av-bhagat ka to saza-var na tha

nargis us aankh ki bimar-e-gul us ruḳh pe nisar

bagh-e-alam men kise ishq ka azar na tha

ho ga.i rasm-e-mulaqat chalo bahs hai kya

tum ḳhata par na the aur main bhi vafadar na tha

do pyalon men hai saaqi ke ajab kaif ‘fahim’

ankhen milte hi vo tha kaun jo sarshar na tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hai Lahu Shahidon Ka Naqsh-E-Jawedan Yaro

Wo Yun buDhe Se Bachcha Ho Gaya Hai

syeda-nafis-bano-shama

Har-Su Khushbu Ko Fazaon Mein Bikharta dekhun

Hote Hain Jo Sab Ke Wo Kisi Ke Nahin Hote

asrarul-haq-majaz

Barbat-E-Shikasta

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet