kya qayamat hai gham ki gira.i
hansna chaha to aankh bhar aa.i
un ki yadon ki jalva-ara.i
kitni raushan hai sham-e-tanha.i
marhaba ai junun ki rusva.i
un ke honTon pe bhi hansi aa.i
kis ki aamad ki hai ḳhabar yarab
dil ki dhaḌkan bani hai shahna.i
koi jaada na koi manzil hai
zindagi kis maqam par aa.i
lab pe mohar-e-sukut hai lekin
mil ga.i hai nazar ko goya.i
ab ‘mubarak’ ki zindagi kya hai
un ki yaad aur kunj-e-tanha.i
Leave a Reply