kya bata.en ziist men kya kya hua
jo hua jaisa hua achchha hua
jab laga sab mushkilen hal ho ga.iin
tab naya ik mas.ala paida hua
ham se jab puchha gaya koi saval
keh daya aisa hua vaisa hua
dil kisi surat bahalta hi nahin
aaj mausam hai zara badla hua
kya kaha main aap ka huun ham-nava
aap ko shayad koi dhoka hua
aa.ine men jo nazar aata hai vo
aisa lagta hai ki hai dekha hua
kya jigar men aag ‘anjum’ lag ga.i
har taraf kyon hai dhuan phaila hua
Leave a Reply