kun ki manzil par ruka hai qafila taqdir ka
bas ki hai naqid musavvir apni hi tasvir ka
mil na pa.egi riha.i vaqt ke zindan se
surat-e-sham-o-sahar hai silsila zanjir ka
zindagi apni basar hoti hamesha ḳhvab men
ḳhvab men khulta nahin uqda agar ta.abir ka
varis-e-kaun-o-makan hain kahkashan-dar-kahkashan
kyon na ho vabasta ham se silsila tasḳhir ka
zehn se jis dam hue the muttasil lauh-o-qalam
ho gaya tha hal vahin par mas.ala tadbir ka
ḳhama-e-dil se raqam karte rahe ahd-e-vafa
hai koi zamin hamari hurmat-e-tahrir ka
zindagi men ham bhi rakhte sar sinan ki nok par
jaan lete gar ishara katib-e-taqdir ka
jumbish-e-abru se us ko kar diya zinda ‘shakil’
kaghzi tha naqsh jo ab tak tiri tasvir ka
Leave a Reply