kul sama.at dukhi sada ko duun
jism dharti ko jaan hava ko duun
apni saari mata.a-e-aql-o-ḳhirad
ruThne ki tiri ada ko duun
kul anasir alag-alag kar ke
kuchh tujhe aur kuchh ḳhuda ko duun
ik dhanak hai miri nigahon men
teri zulfon ko ya ghaTa ko duun
dekhun kitna lahu Tapakta hai
ab ke ḳhanjar kaf-e-vafa ko duun
Leave a Reply