kufr-e-ishq aaya badal mujh momin-e-din-dar tak
naubat-e-ba-sandal-o-qashqa hai bal zunnar tak
ashT ka ashlok ik rahib ne but-ḳhane ke biich
mujh ko batlaya ki bhula ghair zikr-azkar tak
sho.abada duniya ka kam fursat bahut hai juun hubab
zindagi hai ta-zamana va.ada-e-iqrar tak
kaam hai matlab se chahe kufr hove ya ki diin
ja pahunchta hai kisi surat se apne yaar tak
‘afridi’ chhoḌ mat hargiz dar-e-pir-e-mughan
haath aave duḳhtar-e-raz saghar-e-sarshar tak
Leave a Reply