kuchh is ke siva ḳhvahish-e-sada nahin rakhte
ham tujh se bichhaḌne ka irada nahin rakhte
kab dil ki taraf lauT ke a.enge safine
sahra ke bagule gham-e-jada nahin rakhte
kya ḳhaak simaT pa.enge duniya ke bakheḌe
ham log to daman bhi kushada nahin rakhte
uḌ ja.enge ham bhi varaq-e-ḳhak se ik din
rangon ke siva koi libada nahin rakhte
har aankh ko ham saghar-o-mina nahin kahte
har aankh pe ham tohmat-e-bada nahin rakhte
qaa.em bharam apna hai asiri se vagarna
ham taqat-e-parvaz ziyada nahin rakhte
Leave a Reply