koi us se nahin kahta ki ye kya bevafai hai
chura kar dil mira ab aankh bhi apni churai hai
utho ai mai-kasho abad mai-khana karen chal kar
zara dekho to kya kaali ghata ghanghor chhai hai
buton ke ishq se ham baaz aae hain na aenge
nahin parva hamen dushman agar saari khudai hai
nashat-e-dil ko dushman ke banaenge usi se ham
vo kahte hain tiri ah-e-rasa tera havai hai
bigad kar ghair se tum aae ho ham ye samajhte hain
hamare samne be-vajh kyuun surat banai hai
har ik mushkil se mushkil kaam banta hai banane se
magar bigdi hui qismat kisi ne kab banai hai
khabar sun kar mire marne ki vo kahne lage hans kar
kisi dushman ne shayad ye khabar jhuti udaai hai
gulon ko naghma-e-bulbul sunai tak nahin deta
tire divanon ne vo dhuum gulshan men machai hai
dil-e-ashiq men ho ai ‘mashriqi’ gar jazb-e-dil kamil
vo but phir kyuun na maail ho koi ghar ki khudai hai
Leave a Reply