koi sune na sune arz-e-hal karta ja
na ruk javab ki ḳhatir saval karta ja
samundaron ko hava men uchhal de ik baar
tu ba-hunar hai to ye bhi kamal karta ja
badal de hijr ki saa.at ko vasl lamhon men
bana ke kaam ko asan muhal karta ja
tu be-misal agar hai to mujh men zahir ho
mujhe bhi apni tarah be-misal karta ja
qarib aa ki ujalon ke haar pahna duun
mujhe asir-e-shab-e-la-zaval karta ja
shikast o fat.h nasibon se hai vale ai dil
mile hain zaḳhm to ḳhud indimal karta ja
yahin kahin tira maazi bhi saans leta hai
guzarne vaale bas itna ḳhayal karta ja
tira hunar tiri dana.i bad-dua hai ‘imam’
zaval tera muqaddar kamal karta ja
suḳhan-navaz mire nukta-chin mire naqid
mujhe shikar-e-itab-o-jalal karta ja
bahut se tiir hain teri kaman men qaid ab bhi
mire lahu se qaba apni laal karta ja
mire zaval pe kar sabt aḳhiri tahrir
ye kar-e-nek bhi ai la-zaval karta ja
Leave a Reply