koi subut-e-jurm jagah par nahin mila
tuute pade the aaine patthar nahin mila
patthar ke jaisi be-hisi us ka nasib hai
vo qaum jis ko koi payambar nahin mila
jab tak vo jhuut kahta raha sar pe taaj tha
sach kah diya to taaj hi kya sar nahin mila
ham rat-bhar jalen bhi tumhen raushni bhi den
ham ko charagh jaisa muqaddar nahin mila
shahr-e-sitam bhi jashn-e-aman mat mana abhi
shayad sitamgaron ko tira ghar nahin mila
maan baap ki duaon se badh kar jahez men
dulhan ko aur koi bhi zevar nahin mila
‘dana’ vo ab bhi aata hai tanhaiyon men yaad
duniya ki bhiid men jo bichhad kar nahin mila
Leave a Reply