koi samjhaiyo yaaro mira mahbub jaata hai
mira maqsud jaata hai mira matlub jaata hai
mubarak mah-e-kanan ai zulekha chashm-e-ma raushan
bas itni baat kahne misr men yaqub jaata hai
dua kah kar chala banda salam aakar karega phir
khat aave jab talak to bandagi se khuub jaata hai
hunar apne kiye zahir agar tujh ko nahin bhate
to ab sau aib ka qaail ho ye mayub jaata hai
‘bayan’ jab main bayan karta huun ye mazmun mazmun ka
kabhu ankhen bhar aati hain kabhu ji duub jaata hai
Leave a Reply