koi naama nahin payam nahin
ye mohabbat ka ehtiram nahin
gardishon ki navazishen tauba
bada-noshi bhi ab haram nahin
zindagi ko qarib se dekha
maut hi aḳhiri maqam nahin
ik pareshan hai dusra shadan
rasm jiine ki bhi to aam nahin
jashn hote hain sab dikhave ke
sarfaroshon ka ehtiram nahin
kaam jitne hain sab adhure hain
aur irada bhi koi ḳhaam nahin
jin ko pas-e-adab nahin ‘raje’
bazm-e-alam men un ka kaam nahin
Leave a Reply