koi malal huun dukh huun batao kya huun main
dinon ke ba.ad kisi shaḳhs ko dikha huun main
ye kaun palta phirta hai hijr ka aaseb
mujhe bataya gaya tha ki mar chuka huun main
jigar ke haath lapakte hain aankh ki janib
kuchh aisi tarz se girya-kunan hua huun main
kabhi kabhi miri ankhen javab deti hain
kabhi kabhi tujhe itna savalta huun main
kisi ke ashk mire gaal chhu ke girte the
kisi ke qurb men itna bhi rah chuka huun main
tumhara hijr mire saath rahna chahta hai
use batao ki is se bahut baḌa huun main
bahisht phenk chuki hai zamin par mujh ko
ḳhuda ka shukr tujhe raas aa gaya huun main
Leave a Reply