Kohra oDhe Tahal Rahi Thi Jhil Pe Gahri KHamoshi

kohra oḌhe Tahal rahī thī jhiil pe gahrī ḳhāmoshī

phir sūraj ne dhuup bichā.ī tab kuchh Thahrī ḳhāmoshī

shab kī saaḌī pahan ke siine par bal khātī hai mere

din kā āñchal oḌh ke sharmātī hai sunahrī ḳhāmoshī

gaañv kī us ḳhāmoshī meñ ik lazzat thī albelī sī

kamra kamra ghoñT rahī hai har pal shahrī ḳhāmoshī

gum ho ga.iiñ haiñ merī sadā.eñ kho ga.iiñ haiñ sab āvāzeñ

chīḳheñ tak bhī suntī nahīñ hai haa.e ye bharī ḳhāmoshī

yādeñ gavāh haiñ jazbe qaidī hijr hai munsif vaqt vakīl

roz lagātī hai is dil meñ ishq kach.harī ḳhāmoshī

man mandir meñ dhyān magan hai ik terā sachchā sādhū

aur sādhū ke phere letī jogan gahrī ḳhāmoshī

sub.h ke manzar jhulas ga.e haiñ shaam kī jhīleñ sadiyoñ duur

hijr kī dhun par raqs-kunāñ hai garm do-pahrī ḳhāmoshī

Leave a Comment