kitnī mushkil se us ko DhūñDā hai
be-sabab dil kahāñ ye TuuTā hai
achchhī sūrat kā kyā kareñ charchā
achchhī ḳhushbū se phuul biktā hai
us ke bachchoñ kī aisī sīrat hai
vaise īñTeñ haiñ jaisā ḳhāñcha hai
us ke va.ade kī kyā maiñ baat karūñ
kachchā dhāga bhī us se pakkā hai
terī zulfoñ se bas rihā ho kar
maiñ ne pinjre kā dard samjhā hai
jab maiñ phūloñ ko pyaar kartā huuñ
mujh ko titlī se pyaar miltā hai
pahle mahñgī thī pyaar kī daulat
ab to daulat se pyaar sastā hai
us kī fitrat meñ baat aisī hai
jo burā hai to vo bhī achchhā hai
dekhne vaalā ho agar ‘āqib’
zaḳhm āñkhoñ meñ dekh saktā hai