kitni divaren uThi hain ek ghar ke darmiyan
ghar kahin gum ho gaya divar-o-dar ke darmiyan
kaun ab is shahr men kis ki ḳhabar-giri kare
har koi gum ik hujum-e-be-ḳhabar ke darmiyan
jagmaga.ega miri pahchan ban kar muddaton
ek lamha an-ginat shaam o sahar ke darmiyan
ek saa.at thi ki sadiyon tak safar karti rahi
kuchh zamane the ki guzre lamha bhar ke darmiyan
vaar vo karte rahenge zaḳhm ham khate rahen
hai yahi rishta purana sang o sar ke darmiyan
kya kahe har dekhne vaale ko aḳhir chup lagi
gum tha manzar iḳhtilafat-e-nazar ke darmiyan
kis ki aahaT par andheron men qadam baḌhte ga.e
runuma tha kaun is andhe safar ke darmiyan
kuchh andhera sa ujalon se gale milta hua
ham ne ik manzar banaya ḳhair-o-shar ke darmiyan
bastiyan ‘maḳhmur’ yuun ujḌin ki sahra ho ga.iin
fasle baḌhne lage jab ghar se ghar ke darmiyan
Leave a Reply