kisi sabab se agar bolta nahin huun main
to yuun nahin ki tujhe sochta nahin huun main
main tum ko ḳhud se juda kar ke kis tarah dekhun
ki main bhi ”tum” huun, koi dusra nahin huun main
to ye bhi tai! ki bichhaḌ kar bhi log jiite hain
main ji raha huun! agarche jiya nahin huun main
kisi men koi baḌa-pan mujhe dikha.i na de
ḳhuda ka shukr ki itna baḌa nahin huun main
miri uThan ki har iinT main ne rakkhi hai
main ḳhud bana huun! banaya hua nahin huun main
yahan jo aa.ega vo ḳhud ko haar ja.ega
qimar-ḳhana-e-jan men naya nahin huun main
mire vajud ke andar mujhe talash na kar
ki is makan men aksar raha nahin huun main
main ek umr se ḳhud ko talashta huun magar
mujhe yaqin nahin, huun bhi ya nahin huun main
main ik guman ka imkan huun ‘iftiḳhar’-mughal
ki ho to sakta huun lekin hua nahin huun main
Leave a Reply