kisi ki yad-e-rangin men hai ye dil be-qarar ab tak
rahin-e-shauq be-payan hai chashm-e-intizar ab tak
unhen apna batata hai unhen apna samajhta hai
fareb-e-zindagi hai ye dil-e-divana-var ab tak
jinhen ehsas bhi shayad na ho jazbat-e-ulfat ka
ye mera saada dil un par hai sau jaan se nisar ab tak
nahin mumkin ki sahra ko bhula duun lutf-e-manzil men
mire paanv ke talve men chubhi hai nok-e-ḳhar ab tak
mujhe adab-e-ulfat yaad hain hangam-e-vahshat ke
gareban chaak hai daman hai apna taar taar ab tak
juda un se hua huun jurm-e-iz.har-e-mohabbat men
main ik harf-e-tamanna par huun yaaro sogvar ab tak
chaman men sair-e-gul vo aur main ai ‘taj’ kya din the
baharen aa.iin aane ko na aa.i vo bahar ab tak
Leave a Reply