kisi ka ḳhiram-e-javan dekhta huun
tarannum ki ju-e-ravan dekhta huun
kabhi dekhta huun su-e-jada-e-gham
kabhi apna azm-e-javan dekhta huun
ik aisa bhi aalam guzarta hai mujh par
ki qadmon men donon jahan dekhta huun
hijab-e-ruḳh-e-lala-o-gul uTha kar
mohabbat ki chingariyan dekhta huun
ye tamhid hai jaur-e-taza ki shayad
unhen aaj kuchh mehrban dekhta huun
manazir ki be-rangiyon se guzar kar
manazir ki gul-kariyan dekhta huun
mohabbat men ab us jagah huun ki un ko
jahan chahta huun vahan dekhta huun
junun se vahan kaam leta huun ‘shariq’
ḳhirad ko jahan sar-garan dekhta huun
Leave a Reply